Saturday, January 14, 2012

Khushi - the feeling of joy

0
ek nayi subah , ek nayi shuruat ...

dukh ke jaalon ko bhedti yeh roshini ...

mehtva-kaang-shaaon ke bina pankhon waley ghodey se kahin dur ...

jahan sirf tum aur tumhrey yeh avyakul kadam .

dharti ka prashant purit sparsh ...

maa ke pyar ki bhaanti ...

tumhare sabhi dukhon ko nigalta hua ...

mastishk ki rekhaon ko dheel deta yeh ehsaas ...

kitna sukhad hai yeh ehsaas ...

tumhe theek ussi taraf le jatey hue ...

jis disha mein tum jana chahte ho ...

umeed ka sagar tumharey maathey ko chumta ...

tumhe apni ore pukarta hua ...

uski namkeen hawa taazgi se bharpur ...

zakhmon par aise marham laga rahi ho ...

jaise tapte hue registan par ...

baarish ki boondon ki pehli puhar ...

aur ab sirf jeevat laga ra hai ...

to bus yeh sukhad sa ehsaas ...

aur yeh pratiphala suraj chamkta hua ...

neele khuley aasamaan mein ...

muskarata hua jaise keh raha ho...

sab acha hoga ...





reasons for happiness are many ... all one needs ter do is just find one ... ;)

No Response to "Khushi - the feeling of joy"

Post a Comment